Youtube Se Rupay Kamane Ka Tarika

Ek Mobile Sim Se Dusre Mobile Me Internet Share & Data Transfer Kaise Kare

1 Mobile Se Dusre Mobile Me Internet Data Transfer Ya Share Kaise Kare

Ab Me Aapko Niche Full Trick Step By Step Hindi Me Bata Raha Hu Jisse Aapko Yeh Article Shamjhne Me Koi Bhi Dikkat Ya Preshani Nhi Hogi Or Aap Aasani Se Internat Ya Data Transfer Kar Sakege..

Airtel To Airtel Internat Data Transfer Kaise Kare

Isse Aap Ek Airtel Sim Card Se Dusre Airtel Sim Card Me Data Balance Yani Ki Internet Share Kar Sakte Hai Iske Liye Niche Bataye Gye Introductions Ko Follow Kare…

First Method-1

1. Sabse Pahle “Airtel Family Share” Par Click Kare Ab Ek Webpage Khulega
2. Ab Ek Page Khulega Jaha Par Aapko Aapna Mobile Number Type Karna Hai Or Go Button Par Click Karna Hai
3. Ab Aapka Number Verification Ke Liye Aapke Number Ek Message Aayega Jisme OPT Code Hoga Jisko Dalkar Aapko Verify Karna Hoga


4. Ab Aap Yaha Par Aapne 5 Relative Ya Family Members Ya Kidi Friends Ko Add Karna Hai Aap Yaha Par Maximum 5 Ko Add Kar Sakte Hai Jinke Sath Aap Aapna Internat Share Karna Chahte Hai
5. Ab Aap Added Mobile Numbers Ke Sath Aapna Internat Share Kar Sakte Hai Par Dhayan Rahe Aap 1 Number Ko 1 Hi Bar Add Karna Hai Or Jis Number Ko Aapne Add Kiya Hai Wo Airtel User Hi Hona Chahiye..

Second Method —

Airtel Me 10 MB Data Share Karne Ke Liye :-
Dial Kare *141*712*11*Mobile Number#
Charges – Rs. 1
Airtel Me 25 MB Data Share Karne Ke Liye :-
Dial Kare *141*712*9*Mobile Number#
Charges – Rs. 1
Airtel Me 60 MB Data Share Karne Ke Liye :-
Dial Kare  *141*712*4*Mobile Number#
Charges – Rs. 1
Is Tarah Se Aap Airtel To Airtel Data Transfer Aasani Se Kar Sakte Hai..

Aircel To Aircel Internet Data Share Kaise Kare

Isse Aap Aircel Ki Sim Se Dusri Aircel Sim Me Internet Transfer Badi Hi Aasani Se Kar Sakte Hai Uske Liye Bus Aapko Mere Bataye Hue Steps Ko Follow Karna Hoga, Aircel To Aircel Data Transfer Karne Ke Liye Aapko Data Service Activate Karna Hoga
1. Sabse Pahle Data Transfer Karne Ke Liye *121*776# Dial Kare.
2. Ab Aapki Screen Par Welcome Message Aayega Or Aapko Yaha Par Data Pack Service Me Apne Friends Ka Aircel Mobile Number Add Kare Phir OK Ke Button Par Click Kare.
3. Ab Aap Kuchh Step Ko Follow Kare Aapko Aircel To Aircel Internet Data Transfer Ho Jayega.
Is Tarah Se Aap Bade Hi Aasan Steps Me Aircel To Aircel Data Pack Share Kar Sakte Hai

Idea To Idea Internet Data Kaise Share Kare

Idea Me Data Internet Share Karne Ke Liye Aapko Idea Easy Share Par Sabse Pahle Register Karna Hoga Chaliye Kaise Kare Idea To Idea Data Share Janiye…
1. Sabse Pahle “Idea Easy Share” Website Par Jaye
2. Ab Yaha Aapke Samne 2 Option Hoge, Ager Aap Prepaid Customer Hai To Prepaid Easy Share Ko Select Kare Ya Aap PostPaid Customer Hai To PostPaid Easy Share Option Ko Select Kare..
3. Ab Next Option Me Aapne State Ko Select Kare
Example — Rajasthan
4. Data Service Use Karne Ke Liye Koi Data Plan Active Kare Or *121*121# Ussd Code Par Jaye Yaha Fir “Login Page” Par Jaye Jaha Se Aap Talktime, Internat 2G/3G Aasani Se Share Kar Sakte Hai
5. Ab Aage Ke Steps Ko Carefully Follow Kare Or Internat Share Kare
Idea Easy Share Se Aap Internet Or Talktime Share Kar Sakte Hai Yeh Aapke Liye Bahut Useful Saabit Hoga..

Reliance To Reliance Data Internet Share Kaise Kare

Reliance Ki Ek Sim Se Dusri Reliance Sim Me Internat Send Ya Transfer Kaise Kiya Jata Uske Bare Me Ab Aapko Yaha Sikhauga..
Aap Only Postpaid Sim Card Ke Liye Hai Aap Prepaid User Hai To Yeh Aap Nahi Kar Paayege Or Reliance 3G Or CDMA User Data Transfer Kar Sakte Hai Or Sharing Plan Active Hona Require Hai Ab Aapko Batauga Ki Yeh Kaise Kare..
1. Sabse Pahle “Sharing Plans” Ke Official Website Par Jaye
2. Ab Link Par Click Karne Ke Bad Aapko Kuch Plans Dikhaye Denge Jisse Following Karke Aap Data Transfer Kar Sakte Hai.
Reliance Sim Me Bhi Sirf Postpaid Customer Hi Internet Data Share Kar Sakte Hai Isme Aap Maximum 9 Friends Ko Internet Data Share Kar Sakte Hai Reliance Share Monthly Charge Rs. 1497 Ka Hai Jisse Aapko Milega 3000 Min. Local + STD Talktime, 300 Local + STD SMS Aur 3 GB Internet Data Aapko Milega
Agar Aap 1 Members Se Connect Hote Hai To Aapko 1000 Min. 1 GB Internet Data Aur 1000 SMS Milega Lekin Aapko Rs. 499 Ka Extra Charge Lagega.

Vodafone Se Vodafone Internat Data Kaise Transfer Kare

Vodafone Ka Data Transfer Karne Ka Feature Prepaid User Ke Liye Available Nahi Hai Aap Only Postpaid Users Hi Data Vodafone To Vodafone Share Kar Sakte Hai, Aur Me Aapko Bata Du Prepaid Users Data, Talk time Transfer Nahi Kar Sakte Par Agar Aap Postpaid User Hai To Aapko Har Month Rs.99 Ka Recharge Karwana Hoga Jisse Aap Vodafone To Vodafone Data Share Kar Sakte Hai.

टिप्पणियाँ